Wednesday, July 29, 2009

tera milna bhi ektafak tha,
to bichadne pe kya gum karein

safar main sangraahi the kuch der ke ,
unse naata bana ke bhi ab kya hum karein

aaj jo aaj main jeeta hoon,
usse kal ko ab qurbaan kya hum karein

Tuesday, July 28, 2009

kismat

itna bhi na kismat pe tu aitbaar kar
ki kal ki thokar ko tu seh na sake

khud pe itna bhi gumaan na kar
ki kal, khud ke wajood se hi naata mil na sake


in ankhon ke sapno pe aitbaar bas itna kar
ki tu bhadh chale zamane se aage,
par bin apno ki duaayein bhoolkar